dedicating hindi song lyrics to bts, a short thread

(translating them to english too)
afreen afreen (2nd para)

chehraa ek phool ki terha shadaab hai
chehraa uss ka hai yaa koi mehtaab hai
chehra jaise ghazal chehra jaan-i ghazal
chehra jaise kali chehra jaise kanwal
chehra jaise tasawwur bhi tasveer bhi
chehra ek khawab bhi chehra tabeer bhi
(cont)
chehra koi alif laila ki dastaan
chehra ek pal yaqeen chehra ek pal gumaan
chehra jaisa ke chehra kahi bhi nhi
maah-ru maah-ru mah-jabeen mah-jabeen

(eng translation)
chaudhvin ka chand

chaudhvin ka chaand ho ya aafatab ho?
jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawab ho
zulfein hain jaise kaandhon pe baadal jhuke hue
aankhein hain jaisi mey ke peyaale bhare hue
masti hai jis mein pyar ki, tum woh sharaab ho

(cont)
chehara hai jaise jheel mein hasta hua kaval
ya zindagi ke saaz pe chhedi hui gazal
jaane bahaar tum kisi shayar ka khwaab ho
hothon pe khelti hai tabassum ki bijliya
sajde tumhari raah mein karati hai kahkasha
duniya-e-husno ishq ka tum hi shabab ho

(eng translation)
main agar kahoon

main agar kahoon tumsa haseen
qaynaat mein nahi hai kahi
tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin
tumko paya hai to jaise khoya hoon

shokhiyon mein doobi yeh adaayein
chehre se jhalki huyi hain
zulf ki ghani-ghani ghataayein
Shaan se dhalki huyi hain

(cont)
lehrata aanchal hai jaise baadal
baahon mein bhari hai jaise chandani
roop ki chandni

main agar kahoon yeh dilkashi
hai nahin kahi, na hogi kabhi
tareef yeh bhi to sach hai kuchh bhi nahin
tumko paya hai to jaise khoya hoon

(eng translation)
yeh chand sa roshan chehra

yeh chaand sa roshan chehra
zulfon ka rang sunehara
yeh jheel si neeli aankhein
koi raaz hai inmein gehra
tareef karoon kya uski jisne tumhein banaya

( cont)
har subah kiran ki laali hai rang tere gaalon ka
har shaam ki chadar kaali saya hai tere baalon ka
saya hai tere baalon ka
tu balkhaati ek nadiya, har mauj teri angdaayi
jo in maujon mein dooba usne hi duniya paayi

(eng translation)
ajab si

aankhon mein teri
ajab si, ajab si, adaayein hain,
ankhon mein teri
ajab si, ajab si, adaayein hain
dil ko bana de jo patang
saansein ye teri vo hawaayein hain

tere saath saath aisa
koi noor aaya hai
chaand teri roshni ka
halka sa ik sayaa hai

(cont)
teri nazron ne dil ka kiya jo hasharr
asarr ye hua
aab inmein hi doobke ho jaaun paar
yahi hai dua

aankhon mein teri
ajab si, ajab si, adaayein hai

(eng translation)
afreen afreen (1st para)

aisa dekha nhi khubsoorat koi
jism jaise ajanta ki moorat koi
jism jaise nigahon pe jaadu koi
jism naghmah koi
jism khushboo koi
jism jaise mehakti hui chandani
jism jaise machalti hoye ragini
jism jaise ke khilta hua ek chaman

(cont)
jism jaise ke sooraj ki pehli kiran
jism tarsha hua dil-kash oo dil-nisheen
sandaleen sandaleen
marmareen marmareen

(eng translation)
ek ladki ko dekha
(changing it to ladke)

ek ladke ko dekha to aisa laga
ek ladke ko dekha to aisa laga
jaise khilta gulaab,
jaise shayar ka khwaab,
jaise ujali kiran,
jaise ban mein hiran,
jaise chandni raat,
jaise narmi baat,
jaise mandir mein ho ek jalta diya

(cont)
ek ladke ko dekha to aisa laga
jaise subah ka roop,
jaise sardi ki dhoop,
jaise veena ki taan,
jaise rangon ki jaan,
jaise balkhaayen bel,
jaise lehron ka khel
jaise khushboo liye aaye thandi hawa
Ho, ek ladke ko dekha to aisa laga

(eng translation)
-the end
jaane kyun

jaane kyun, dil janta hai
tu hai toh, i'll be alright
saari duniya ek taraf hai
ek taraf hai hum
har khushi toh, dur bhage
mil rahe hai gum
but when u smile for me
world seems all right
yeh meri zindagi
pal mein hi khil jaaye
jaane kyun
just wanted to add this song for ot7, because its so appropriate to us and them and like for our relation with each other, jaane kyun is literally our song.
#bts #BTSARMY

(eng translation)
You can follow @azuremyg.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: