Came back just to vent out something off my chest
--
This incident is not of my family or even extended family, but some distant relatives, both the bride and groom's side.
--Trigger warning: case of ill-treatment of daughter-in-law--
--also, very long thread--
This girl got married into this family with quite some property, not that gir's family is pauper
but comparatively less well off. Her father was in a paper mill par shadi ke 1 saal baad hee wo bandh ho gayi, uska bhai zaroor ek achchi IT co. mein decent job par hai.
Boy was working then in co. owned by his sister and her husband.
Girl was doing a job but she was ok with being a housewife which this boy expected.
Ladki ki family bohat sajjan aur seedhe log hain, ladke ka bhi yeh tha ki waise koi buraai nahi hai ki daroo peeta ho,
dekha hua ladka tha. Although it was the impression ki ladke ki mother kafi cunning and muhnphat type lady hai.
Ladki walon ka budget shadi ka 7.5 Lakhs ka tha, Ladke wale for some reason were expecting 9 Lakhs. Toh shadi ke time hee hungame hue is 1.5 Lakhs ki amount ko lekar
Khair shadi nipat gayi.
I can't get into it chronologically but today almost 4 years later this is the situation.
In last 4 years, her in-laws haven't bought this girl a single undergarment let alone a dress, nor is she allowed to go by herself to market.
All food stays under the eye of saas, in 4 years she has not even eaten bread.
Her brother bought a flat in ghaziabad in 2019, so they became even more aggressive that "paisa toh hai inpe, humare saamne natak karte hain".
Wo ladka cheque book leke ladki ke bhai ke flat par aa gaya ki 1.5 Lakh rupees do.
Saas na sirf saara din ladki ko gaali deti hai along with uske parivaar ko, har cheez mein over-reaction. Daal mein namak tez to bowl phenk diya ki ye kya banaya hai types.
You maybe thinking why was she bearing it. Two reasons, one is her own nature.
Wo waise to MBA kee hui ladki hai but by nature submissive and docile types hai boldness nahi hai.

Secondly, maine pahle bhi mention kiya hai, uski badi bahan ki shadi hui thi. Jisse hui us ladke ne forced hoke marriage kee thi uska affair tha kisi aur ladki se,
with the plan that I'd ignore this girl so she'd take divorce from me. So us ladki ka divorce hua jab ye baat khuli, us ladke ki to phir uske gharwalon ne uski girlfriend se shadi kara dee , par is ladki ki hone mein problem aa rahi thi.
So aise mein yahan ye ladki is dabaav mein bhi thi ki meri badi bahan bhi ghar pe baithi hui hai, main bhi chali jaungi to parents kaise manage karenge.
Use wo uske ghar bhi nahi aane deti thi Saas, "bas le jao ise aur phir wahin rakhiyo ise" is type ki baatein.
Uske in-laws ki doosri beti aur uske husband paas hee rehte hain wo jo thoda bohat karte thhe wo bhi chup ho gaye.
Initially sasur kuch theek se baat karte thhe, phir saas se gusse mein ool jaloon baatein shuru kar dee "ye to dore daal rahi hai inpe" is type ki, to wo bhi saas ki haan mein haan milaane lage.
Things got heat up in early 2019 but phir sasural ki badi beti (who owns the co. ladka was working in) unhone apnee mummy ko kuch din ko apne paas US bula liya. Everyone expected ki wo shayad kuch samjhaye inhe.
Khair 2019 end mein uski badi behan ki 2nd marriage ho hee gayi, by that time wo ladki pregnant thee.

Ab ladka aur uski maa "beta hona chahiye" ke chakkar mein pad gaye. Everyone on girl's side was scared ki yadi beti ho gayi ki pata nahi kya drama kare saas.
Khair ji ladka ho gaya uske 2020 ke mid mein.
But things took turn for the worse. 2020 end mein ladki ke bhai ki shadi mein bhi nahi aane de rahe the , uske bhai ne badi minnatein karke bulvaya khair wo aur uska husband aaye.
Tab se ab tak ki condition bhayavah hai.
Ab na toh use koi khaane ko poochhta , na koi bahar jane deta.
Wo ladki apne husband emotionally attached ho gayi hai, but wo bhi use emotionally manipulate karta hai. "Ghar gayi apne to bas vapis na aana, ladke ko bina baap ke rakh liyo".
Unki maidservant tak us ladki ko daant thee hai aur badi kharab tareeke se baat karti hai.
Saas is type ke dialogue continuously maarti hai "Arey mar ja tu.. mar jayegi to hum koi aur le aayenge" .
the worst began a few months back, sasural ki beti aur damaad jo paas hee rehte hain unki ek beti hai, wo conceive dobara kar nahi paa rahe
Sasural conspired to get their bahu pregnant and give that child to their daughter.
I'm using the word conspire for a reason.
Worse part they never told her beforehand, jab wo pregnant already thee 1 month plus tab use bataya, ya toh uska husband emotional pressure daal daal ke manaya ya wo jaisi condition mein thee use force kiya kehna muskil hai but uski apni marzi nahi thee ki mera bachcha diya jaye
Dena bhi ho toh uska bhi ek process hai ki wo bachcha hone ke baad legal adoption hota.

But yahan kya kar rahe hain wo:
1. us ladka hone kee dava khila rahe hain! ye tab jab unki badi beti ki ek pharma co. hai! jisse us ladki ka stomach gadbad ho gaya hai she feels dizzy
all the time. baar baar use kaha ja raha hai ladka bhi na diya gaya ispe humari beti ko to ye aur wo .. sex selective abortion ka plan bhi hai it seems, abhi to wo 1 trimester pregnant hui hai.
2. Worst part: papers mein patient ka naam unki beti ka likha hua hai age etc. I don't know how the hell they got a doctor to approve this.
See the conspiracy, plan yeh hai ki 9 months na ye kahin jaayegi aur unki apni beti bimar hai to (which is why she is not conceiving)
9 months sabse chhupa kar yeh bata denge ki humari beti ke hee ladka hua hai .
But for that to happen, 9 months bahu ko uske kamre mein bandh rakhana hai, uska phone utha ke rakh liya hai taaki kahin kisi ko bataa na de
Is sabke baavjood treatment yeh hai ki na to use koi khaane ko deta na peene ko poochhta, wo behosh hoke gir jaati hai toh yadi padosan dekh le aur aake paani pila de to pila de
This thread is incomplete

here's the 2nd part of this thread
🙏
(please understand once someone has been broken mentally it is difficult for them to change their circumstances and not everyone is prepared to deal instantly with harassment) https://twitter.com/astik_shishya/status/1380046614018945025?s=20
You can follow @astik_shishya.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: