Mujhay kabhi bhi samjh nhi aati... Ahl e bait a.s ne humay nazaryat diye hain... Hum wo qaum hain jo daleel se baat kerti hai... Haq ka Mayar rkhtay hain... Jinko maantay hain wo har mayaar mei mumtaz hain... Maula Ali a.s se muhabbat shakhsiat parasti ki base pe nahi, haq k.....
Haq k base per kertay hain... Phir humari qaum mei jab hum ne hatta masoomeen ko bhi un k kamalat o afzaliat ki base per maana hai naa k iss liye k humay achay lagay tou ulema se dosti aur dushmani ka kia sawal... Shkhsiat parasti q beech mei aati h... Haq tk k liye galian...
Dena jaaiz nahi... Hum iss marhalay per qker puhanchay k kisi taalib e ilm (qk har alim khud ko yhei kehta h qk Ameer ul momineen ki hadith hai Jo kehta hai mei aalim hoon wohi jaahil h).. Kisi taalib e ilm ko naza kahain... Pehli baat koi ghalati ker sakta hai.... Islah ki.....
Islah ki koshish kerni chahiye naa k nasaza guftugu... Mtlb kiss ne haq dia gaalion ka.... Ager koi fitna phela raha ho tou uss fitnay ki nishandehi kerni chahiye... Qk bahar haal khata se mubarra koi nhi... Lekin hate Phelana kahin ki aqalmandi nahi... Nishandehi tou....
Ahlebait bhi kertay thay... Koi tariqa bhi sikha gaye hain.Hawa mei kisi ko hate kerna theek nhi.or dalil hai tou tamiz bhi honi chahiye.Kahin fitna hai tb bhi dalil se bat karen na k apnay jazbaat se..Smjh se bahar hai k maula agaye tou hum unk banner ki nichay kesay jama hongy