A thread of love #SidNaaz on occassion of #1YearOfSidNaaz
Kya hai yeh kuch pata nahi tha
Isse pehle mujhko , Aisa hua nahi tha

Kuch toh tha alag sa tha
Haal uss taraf bhi , iss taraf sa tha
Ek Roz saath chalte chalte
Jab ungliyan humari takrai thi
Thoda Mai muskuraya tha , thoda woh muskurayi thi

Har kisi Ko bhanak pad Rahi thi
Hum par ishq ki khumari chad Rahi thi
Kitne sawal ,kitne khayal
Mann mein uthal puthal macha rahe the

Koi muskurata pakad na le
Iss darr se , Sabse hasi chupa rahe the
Izhaar suna tha magar hota kaise hai
Pata nahi tha

Woh kya hai na ,
Isse pehle mujhko , Aisa hua nahi tha
Mai : humein yeh Roz baatein karni chahiye ?
Woh : kyu ? Nahi karni chahiye ?
Mai : mera woh matlab nahi hai !
Woh : phir ?
Mai : mujhe Mohabbat hogayi aur tumhein nahi , toh Dil toot jaega
Woh : aur mujhe Mohabbat hui aur tumhein nahi toh ?
Mai : nahi ka sawal hi nahi aaega !
Phir toh kya tha ,
Mere chehre ki muskan izhaar ban gayi
Aur uske chehre ki muskan manjoori uski !
You can follow @sidnaazfantasy.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: