Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar main kuch din tehar ke dekhte hain
❤️
Suna hai rabat hai us ko kharab haalon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain
❤️
Suna hai dard ki gahak hai chashm e naaz us ki
So hum bhi uss ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf
So hum bhi moujzay apne hunar ke dekhte hain
❤️
Suna Hai bole to baaton se phool jharte hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
❤️
Suna hai raat usay chaand takta rehta hai
Sitaray baam e falak se utar k dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satatee hain
Suna hai raat ko jugnu tehar ke dekhte hain
❤️
Suna hai Hashar hain us ki ghazal si aankhain
Suna hai us ko haran dasht bhar ke dekhte hain
❤️
Suna hai raat se barh kar hain kaakilain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar per ilzaam dhar ke dekhte hain
❤️
Suna hai aaina e tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hai usay bun sanwar ke dekhte hain
❤️
Bus ek nigaah se lutta hai qafila dil ka
So rah rawan e tamanna bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
Maseeh udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
❤️
Rukay to gardishain bhi us ka tawaf karti hain
Chalay to usko zamanay tehar ke dekhte hain
Kahaniyaan hi sahi, sub mubalghay hi sahi
Agar wo khwaab hai to taabir kar ke dekhte hain
❤️
Ab us ke shehar main tehrain ke kooch kar Jayain
Faraz, Aao Sitaare Safar Ke Dekhte Hain ✨🌟🌠⭐🔭💫
You can follow @being_sushantic.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: