The legendary lyricist @Irshad_Kamil celebrates his birthday today.

Here are some of the lines written by him that have become eternal favourites over the years!
Maine Yehi Socha Hai Aksar....Tu Bhi Main Bhi Sabhi Hain Sheeshe......Khud Hi Ko Hum Sabhi Mein Dekhein
Nahi Hoon Main Hoon Main To Phir Bhi.....Sahi Galat Tumhara Main.....Mujhe Paana Paana Hai Khud Ko
Maanga jo mera hai....Jaata kya tera hai
Maine kaun si tujhse jannat maang li
Kaisa khuda hai tu.....Bas naam ka hai tu
Rabba jo teri itni si bhi na chali
Rang bikhra-bikhra....Sab nikhra-nikhra
Jaayein jidhar-jidhar yeh naina
Mujhe khud pe naaz hua, Pagla aaj raha
Apne hi bas hoon main na
Aana mujhe bas kar lena....Aana ja has kar lena
Aankhon mein aankhein teri, Baahon mein Baahen teri.
Mera na mujh mein kuch raha, Hua kya
Baaton mein baaten teri, Raatein saugatein teri.
Kyun tera sab yeh ho gaya, Hua kya
Patta anaaron ka, Patta chanaaron ka...Jaise hawaaon mein
Aise bhatakta hoon, Din raat dikhta hoon....Main teri raahon mein....

Mere gunaahon mein, Mere sawaabon mein shaamil tu
Bhooli atthanni si, Bachpan ke kurte mein se mill tu…..
Main Hasrat Mein Ek Uljhi Dor Hua....Suljha De Ho Ho....
Main Dastak Hoon Tu Bandh Kiwado Sa....Khul Ja Re Ho
O Bebasi Mann Mein Basi Aa Jeete Jeete Jee Le Sapna
Ye Jeena Bhi, Na Jeena Bhi....Hai Dono Ka Tumse Hi Vaasta
Ho... Main Hi Toh Hoon, Tera Pata...Hai Doosra Na Koi Raasta
Aaye Mujh Tak Wo Tumko Jo Ho Dhoondta
Meri Khamoshiyon Mein Hai Tu Bolta
Ye Jeena Bhi, Na Jeena Bhi.....Jo Bhi Huya Hai Woh Tumse Hua
Teri Nazron Mein Hai Tere Sapne
Tere Sapno Mein Hai Naraazi
Mujhe Lagta Hai Ke Baatein Dil Ki
Hoti Lafzon Ki Dhokebaazi
Tum Saath Ho Ya Na Ho Kya Fark Hai
Bedard Thi Zindagi Bedard Hai
Jabse Gaanv Se Main Shehar Hua
Itna Kadva Ho Gaya Ki Zehar Hua
Main Toh Rozana
Na Chaaha Tha Yeh Ho Jaana........Maine!
Mere Hi Ghere Mein Ghoomegi Har Pal Tu Aise
Sooraj Ke Ghere Mein Rehti Hai Dharti Ye Jaise
Paayegi Tu Khudko Na Mujhse Judaa
Tu Hai Mera Aadha Sa Hissa Sadaa
Ye Jo Log-Baag Hai
Jungle Ki Aag Hai....Kyun Aag Mein Jalu
Ye Nakaam Pyar Mein
Khush Hain Haar Mein....Inn Jaisa Kyun Banu
Tedi-Medi Rasmon Se, Baandhe Ye
Kasmon Se, Baandhe Ye
Toh Koi Toh Tootega, Bhedon Se Chhutega, Bamb Sa Phutega....
Socially Fasaiye, Nahin Main Jo Wahi Mujhe Banaiye,
Ye Mujhse Dhokha Hai, Milord Ye Mujhse Dhokha Hai!
Hey Inn Gadaaron Mein Ya Udhaaron Mein
Tum Mere Jeeney Ki Aadat Ka Kyun Ghott Rahe Dum
Besaleeqa Main, Uss Gali Ka Main
Na Jis Mein Haya, Na Jis Mein Sharam
There are countless other beautiful verses written by Kamil Sahab that are missing in this thread, but these one have been the most memorable and extraordinary pieces.

Happy 49th birthday to the genius poet! #IrshadKamil
You can follow @funda_filmy.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: