17th August se ye sab log hame buddhu bana rahe hain. 17th ko jab SC ne apna petition reject kar diya to agle do teen din saare students ne Twitter pe hahakar machaya
This thread is the reality people, or at least the way I see it. I am a NEET aspirant, and frustrated just like all of you. I will not say there is hope, because there isn’t. The only thing we can do right now is trust that whatever higher power is out there..
It is looking upon us. We all deserve to be happy and healthy even if we sometimes think otherwise.

#PostponeJEEAndNEET
#PostponeNEET_JEESept
#PostponeJEE_NEETinCOVID
#StudentsLivesMatters
Fir kuch din baad media ki thodi aankh khuli to fir ssr chod prime time me hamari baate shuru hui. Ye bhi accha chala.. jin media ne hamare baare me bola wo to popular hue hi, jinhone ne nai bola wo bhi jaise taise criticism se popular ho hi gaye
Fir kuch din aur beete, hamne na jaane kisse nai bheekh maangi ki hamari madat karne ko koi to saamne aao. Fir achanak se ye youtubers bhi aage aaye, aur ek tweet kar diya. Hame laga ki batao kitna bada ehsaan kar diya nai hampe
Fir finally Swami ji aaye aur thoda hope dilaya ki haa wo phone wagairh karege. Aur tabhi opposition ka bhi aankh khula ki nai accha mauka hai, election to aa hi raha hai. Jitna support karege baccho ko utna wo modi govt ko hate karegi
Fir jaise taise ek review petition daala ye dikhane ke liye ki haa bhai kar rahe hain ham bhi kuch, bas naam ke liye. 4 din ho gaya kuch ata pata nai ki kya hua review petition ka. Aur agar opposition chahti to 18-19 ko hi daal sakti thi
Itna sab karne darne ke baad, roz trending pe laane ke baad, saala govt ne hamari aukaat bata hi di ki. Ham khilono aur kutto ke saamne kuch bhi nai. Itne dino me hamne kya kya nai try kiya, saam daam dand bheed..
Aur aaj finally paper shuru ho hi gaye. Kya hi matlb raha apne 15 din barbad karne ka, sabke saamne bheekh maagne ka hi bhai koi help kar do, aur haath jodne ka.
Aaj fir bhi sab fresh petition ka baat kar raha. To kya hi soche ham iss baare me, ki ye iss baar sahi me hamari help kar rahe, ya ye bhi hame buddhu banane ke liye hai. Jhoothi hope dene ke liye hai..
You can follow @Amisha17958860.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: