Once ashfaqq ahmad narrated k Humare muhalle me ek aurat aai. Us k bache b the.. wo aurat nihayat KHOOBSURAT thi or us ko dekh k rashq aata thaaa... Jab b us k ghar k bahar se guzro to khusbooo k ambaar hote the lekin wo khatoon bohat halke kapre pehnti thi (+)
Aksar dekha gaya k us khatoon k ghar 3 gher mard b aate the. Jin ka aksar ana jana laga rehta tha.. or baaz aukaat wo aurat apna bacho ko ghar se bahar b nikal deti thi.. kehte ek roz hum sab SOCIETY k mambraan jumme k baad masjid k bahar mile or bato baato me us khatoon ka (+)
Zikar karne lage. To sab ki raaye ye thi k us SOCIETY me sab neak seerat log rehte hein to is liye us khatoon ko yahan se nikal dena chaiye us ki wajah se bura impact kar raa.. bas khuch dino baad us khatoon ka inteqaal hogaya. Kehte jab hum ne un 3 gher mardo me se ek se us k +
Janaze pe poocha k kon thein or kaise jo hai wo inteqal hua.. to is pe us shaksh ne kaha k me is ka bhai hun, or. In ko skin ki koi bemaari thi.. yahan se us ne wazeh karna shuru kiya k jis ki wajah se inhe halke kapre pehne parte the. Or baaz aukat wo skin pe zakham Jo the
Un ki wajah se is ko dora parta tha to apne bacho ko nuqsan na pohnchaye is liye wo unhe zabardasti bahar bhejti thi. Or aksar khusboo ka istemaal jism se aane wali boo door karne k liye karti thi.. baaqi jo 2 mard the un me se ek doctor thaa jo k us ka ilaj kar ra thaa
Or ek Jo tha wo waqeel thaa jo k us k bacho k future k liye kaghzaat wegira tyar kar ra tha..
Likhte hein k jab mene ye suna to me sharmindgi me doob gaya or ye sochaa k hum kisi ko kaise bina tehqeeq kiye judge kar dete hein..
Wo khatoon kis mushkil se guzar rai thi is baat ka andaza us ne kisi ko nai hone diya na khud kabi aisa bawar karwaya. Or hum us ki bemari ko ghalat guman me sochte rahe .
Absolutely beautiful story❤️.
Like it has a very beautiful lesson of how judging someone without knowing
Him or her properly can make you feel guilty and ashame of yourself. Soo Please i beg you stop judging people on their cast, creed and color.. ALLAH has made everyone and everyone is beautiful in his/her way. Start appreciating good work and sharing the griefs of others rather
Judging them. May b your judgement or harsh comments could put someone in major complex and may b he or she should become more depressed. Soo This story touched my heart and I hope you guys could also learn some lesson from it.

P.S ( The story's summary is same as I've written
But words are changes so nm). :")
You can follow @notyourbro69.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: