The following event is based on a true story:

Amjad Karachi k ilaqay North Nazimabad ka rihashi hai. Middle class gharanay se taluq honay ki wajah se ek buhat majboori ki zindagi basar kar raha hai. Amjad k chaar bachay hain jinko paalna bhi mushkil ho chuka tha
Paeshay k lehaaz
Woh ek teacher tha but government job quotay ki nazar honay ki wajah se ek aam se private school mai 25,000 mahana ki job krta tha, jo ajkal band hain or Amjad berozgaar.
Yeh baat hai pichle din ki hai jab Amjad samaan lekar apni bike pe ghar araha tha k achanak ek Hilux ne
Osko takkar maari or woh gir parha. Hilux se do guard aye or ulta osko galiya denay lagain. Khair, rah geeroun mai se chund log rukay or Amjad ki bike side pe Park kar k osey footpath pe bethaya. Amjad ki taang se buhat khoun behraha tha jispe osko hospital lejana parha
Khair Allah Allah kar k jinnah hospital puhanchay to bed nhi, taweel intezaar k baad bed mila to doctor masroof, doctor milay thay k zor daar barish shuru hogai or hospital k andar yani emergency ward tak mai paani bhar gaya. Ab is sourat e haal mai Amjad apni laho louhan taang
Dekhay ya phr opar atay pani ko. Khair kch na kch kr k doctor ne Amjad k tankay lagaye or marham patti kr k ghar janay ko kaha or bola k yeh chund dawai hai yeh lelo or do din baad ajana. Ab amjad ajeeb kash ma kash mai tha q k oske pas itne hi pesay thay k ya to woh dawai
Lelay ya phr baqiya dino ka rashun. Jinse udhar maang sakta tha woh phle hi maang chuka tha aur corona k dino mai sab apni jan bachanay mai lagay huye thay. Amjad barish k rukne ka intezar kar raha tha q k na woh is qabil tha or na bahir k roads jahan Amjad taer k hi ja skta tha
Barish rukne k baad Ahmed ne CM janay ki thaani k wahan ja kar imdaad ki appeal krta houn. Do ghantay ki jid o jaihad k baad woh CM house k security gate pe puhancha or ro ro kar apni faryad batai or sirf dawai ki imdaad mangi. Police walay ne osey roka or telephone pe andar kisi
Afsar se baat krne laga. Adhay ghantay k intezaar k baad koi saadha kaprhoun mai malbous admi bahir aya or Amjad k kandhay pe haath rakh k bola," maazrat k apko bistar nhi mila, sarhkain bht khasta hai ap pani mai aye par yeh lijye Ajrak wali number plate or ab chaltay bano."
Amjad woh ajrak wali number plate lekar hasi khushi ghar agaya or aisay oski kathi hui taang, ghurbat, nokri, toothay huye Road, nakara hospital, government ka quota, sb kch theek ho gaye.
You can follow @AsadSultan18.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: