Kal ap ke bhai ko aik aisa tohfa mila ke koi haal na raha aisi khushi mehsoos hui kya bataoon.
Pyari begum nikleen baazar ki jaanib kuch fruit waghaira khareedna tha. Aam khanay ka donon ka hi dil tha.
Khair main meethi cheezon ka shauqeen hoon begum se kaha dekhti aana kaheen kuch jam e shireen jaisi sheeray mein lab lab cheez milay to leti aana.
Aur haan saath koi imli ya mirich ki chutney bhi milay to leti aana kuch khanay mein dadi ke haath ka maza chakhnay ka bhi dil hai.
Acha begum gayin aik hamaray aas paas ke muhallay mein dukaan hai Zaitoon ke naam ki har cheez hi mil jaati hai wahan gosht se le kar baingan tak aur phir lotay bartan taway chai dahi ke bhallay waghaira.
Mein utni der intezar karta gaya socha pata nahin kahan reh gayin hain bari der ho gayi hai mera bhi kuch meetha khanay ka dil kar raha hai aur ghar mein chocolate ke aik karway daanay ke ilawa kuch bhi nahin.
Ab ap mein se koi agar “hard relate” kar sakta hai meray iss maslay se to jaan sakta hai ye aik addiction numa hee cheez hai meethay ki talab.
Kabhi sochta hoon insan hoon ke aik cheenta yaani “ant.”
Khair jab pyari begum shopping kar ke waapis ayi to mainay lapak ke, bina haal waal poochay bas aik hi sawal ka naara lagaya: “So! What did you get me!”
Bhai kya bataoon jab begum ne thaila meray hawaalay kia to uss mein se aik aisa dabba nikla ke meray wehmon gumaan mein nahin tha ke aisa bhi koi tohfa meri qismat mein likha hua ho sakta hai.
Ab mein aur kya bataoon iss ke baray mein aur apni khushi ke uss aalam ke baray mein. Tasweer hi dikha detay hoon aap ko bhi andaaza ho jaye ga foran hi! To lijiye:
Bhai to mithaas choriye ye aik alag hi maza hai aik hi niwalay mein meetha bhi aur khatta bhi. Boss aisa maza Hajmola ke ilawa aur kisi cheez mein nahin bas issi candy mein hai!
Ab tab se issi pe laga hua hoon. Bas nahin chalta nashtay aur din ke har waqt ke khanay mein yehi khata chaloon. Chobees packet magar ration kar kar ke khanay parain ge. Hauqay mein aanay ka koi faida nahin.
Aur aap jo har airay ghairay badshakal aadmiyon ko “snacc” keh keh ke pukartay hain dost asil snacc to ye hai.
You can follow @EmadAnsariH.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: