Ek mendhak tha. Machli ke dharm se bahut prabhavit. Hamesha machliyo ko bataya karta tha ki tum logo ke dharm mein shreshtha kya hai. Machliyan ye sunkar dravit ho jati ke kitna acha mendhak hai. Fir ek din Mendhak ne machliyo ke dharm mein kamiya nikalni shuru kar di.
Ab mendhak kayde ki ghuspaith kar chuka tha un machliyo ke samuh mein, to machliyo ne bhi appati nahi ki. Fir kuch dino baad mendhak ne machliyo ke dharm ka mool bhav jo ke pani mein rehna tha, usko galat bata diya. Kehne laga yahi dharm ab jameen par akar follow karo.
Ab kafi machliya iske behkave mein akar jameen par aa gayi aur tadap tadap kar pran chhod di. Jo machli mendhak ki baato mein nahi aayi woh bachi rahi. Jo bachi rahi unhone charcha ki, boli kisi ne ek sabse mool siddhantik baat par dhyaan nahi diya
Unhone baki jal pe jane wali machliyo ko samjhane ki bahut koshish ki. Lekin un machliyo ne samjhane wali machliyo ko bigot, radical ityadi kah kar sambodhit kiya.
Mendhak ki pravitti jal aur jameen dono par rehne ki hai. Mendhak ne kabhi jameen ka tiraskar kar jal dharm sampoorn roop se sveekrit nahi kiya. Aur jinhone uspar bharosa kiya unka hraas ho gaya, aur woh jal dharm anuyayiyo ko kshati pahuncha gaya.
Jo aapke dharm ki taraf jhukav dikhaye uska tiraskar Bilkul mat karo, apnao, lekin uska anusaran mat karo. Jab tak woh apne purva dharm ka tyag nahi karta, woh aapka sadharmi aur hitaishi kabhi nahi ho sakta.
You can follow @mirchagalib.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: