Exactly a year back, around this time of the day, I was fighting with Amma because she wasn't eating anything. I told her straightforward "mere aap ke elawa aur koi nhi hai Amma please kuch khaa lein aur dawai lay lein. Kyun chahti hain ke main bhi khatam ho jaun aap ke saath"
She had breast cancer and we got to know about it two days before her death. On 20th May, 2019.

Doctors said time kam hai. Shaayad maheena bhi nhi.

Her cancer had spread so much that it was damaging her lungs and kidneys now and she couldn't breathe properly.
Unhein 13 saal se rasoli thi pait mein. Basically uterus mein. Unhon ne ilaaj nhi karwaya itna arsa kyun ke humein parhaana tha. Dadi jaan ne bohat kaha ke karwa lo ilaaj but wo nhi maani.

Meri masters ki degree ka result January mein aaya aur Amma February mein admit ho gayin.
Wo kehti thien ka bs Wajiha ki degree ho jaye phir sukoon ho ga mujhe.
Aaj jab meri pay barh chuki hai aur main ek sahi post pe bhi hoon lekin mere paas wo insaan nhi hai jis pe main ye sb kharch krna chahti thi.

Amma ne bohat aam aur simple life guzaari, mushkilon ke saath. Hamesha sochti thi main ke ek bar kamaane lag jaun, sb theek kr doon gi
Amma ko maid rakh doon gi. Unhein khaana khud bana ke doon gi. Subah ka naashta 6 bje krun gi un ke saath paratha omelette ka.
Saari raat larhne aur samjhaane ke baad, unhon ne bread khai ek slice aur maine sehri ki.

8:25 ke qareeb main job ke liye nikli. Unhein Allah Hafiz kaha, jawaab nhi dia unhon ne.

10:33 pe bhai ki call aai ke wo ab nhi rahin duniya mein. Aur bs meri duniya wahin khatam ho gayi.
You can follow @bonariensiswaj.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: