Education in-and Pakistan - A rant from a victim.
Why am I writing this thread?
I have a friend who is 36 something, has 2 kids. An infant and 9 years old. That boy goes to a school named Annie's (G6 mai hai) and he pays 19k for that kid. Rs. 19,000 for 1st standard.
Wo baji sb sekhati hain aur her teesray din party hoti school mai. She even gives WFH these days to that kid. Everything is ok, but 19k is not. So heres a rant for this system. Or kamzor dil k ameer log na parhna sarr jayege. Argument bhi na he karna coz mai nay sachi bolna phr
The people who have opened a school in rent houses have made millions over the years. They robbed our kids of mental strength. U see private bitch-ass schools with no playgrounds so they tell u to buy ur kids fuckin iPads at this age. Aint gonna tell what it does to ur eyes
yeh jo aj kal k tiktoker paida horhay na, in ka masla yeh that they never dealt with pressure. they never participated in any sports so they dont know shit about failure, mental strength, friendship, and most importantly, patience. Teachers bhi L he hain us pay ata houn mai.
Ub ap k bachay physical growth say farigh hain. 7 saal k bachay ka estrogen level daikh lo is umar mai he has manboobs. ub mai usay bolo ap idher beth k 4 angraizi k words seekh lo, lou beta tumhari zindagi ban gae. English is not ur life bhai!!!!! Its not a fucking a life.
ub course content pay, i graduated in '14. My dad studied the same damn Pak Std that I did. bc wtf is that? Wo bhi jhooti. pata he ni apni story ka bs 14 naqaat ko kalma bana k parha rhay. Ive been working for 8 years now. 14 naqaat kisi nay ni pouchay mj say.
mjy btao meray 2 saal kiu zaya kiye inho nay? Board k exam daikh lo. Wo exam hai? Wo exam hain yaar? Daffodils pay tabsara karain. Sha'ir mohtaram is shaer mai kis ki baji k sath bhagnay ki baat kar rha hai explain karain. Wo bhi ritta rattaya jawab. wo bi koi khud say ni likh rh
FSC/A levels ajao. Pehlai to yeh Levels walay apna flex marna band karo. 80% awam wo hai jin k baap paisa ni bhar sktay private schools ka. tumhara bc koi kamal ni. mat mazaq urao unka jo itnay fortunate ni hain. Wo tum say behtar jaga pay settle hotay hain.
content to tatti he hai dono ka. I like Federal board aur A level k exams. thora sa ratta kam hota hai. to chalo sensible jawab say kuch to faida hota hai. Ub mjy yeh btao jo banda tumhain calculus parha rha us say poucho Derivation aur integration kiu kartay hain.
Puri dunya data data kar rhi hai. hum agar bachoun ko 11th mai smjha dain yeh sab, to wo pharr k rakh dain sb ki. But ni, bc find deriative of X.dx yeh 10 number ka sawal hai. na teacher ko pata x kia hai, aur tiktoker to x to daikhta he Ex hai. Wo waisay rou rha hai gham mai
Acha wohi lull Pak std 9/10 mai parha di, ub fsc mai dobara kis liye? Quaid nay 2 nakaat aur dai diye thay saal baad? ya bang e dara ka Remastered nikal aya tha aglay sal. Kiu bachay wo parh rhay hain? koi pata ni. Urdu ko daikh lo, bola ni jata, likhtay to aisay hain jaisay paon
say likha wo bhi chalay paray way houn. wahan bhi galib ki ashiqi parha rhay. oye yeh kia hai? idher wo lambi hai sham e gham parh rha hai kabhi raat ko chat pay nangay paaon ana yaad hai, phir kehtay ho bachoun k zehn mai porn bht hai. tum kia parhay rhay ho?
ub wo becharay rulll khul k pass hojatay to maa baap mshallah Allah zindagi dai tanay dai dai mar daitay. flan k bachay k itnay no. aye hain. Haan to? kiya phutt lia us k bachay nay? wohi farsooda si degree lai lull job kar k 60 pay retire ho k marr jaye ga.
acha yahn say bhi nikal ao. ajao is University system mai. OHOO yeh to mahool he alag hai jee. Pehli baat to yahan k teachers. Daikho baat yeh hai izzat apni jaga but ap logg paisay k liye parha rhay ho aur apko ata lull ni hai. Zindagiyan bana ni taba kar rhay ho ap
meray classmates Germany chalay gae, MSc hogae, PhD hogae, wapis aa k nust mai parha rhay hain bachoun ko jo job karna chahtay hain. WAH WAH WAHHHHH.
Jis nay industry mai paoon ni rakha wo batches ko parha rha hai k industry mai kiya hota hai. OHhooo khoobsorat.
Phir yeh khanzeerou nay fee itni barha di hai, gareeb ka bacha kahin na parh jaye. her gali muhallay mai university khul gae hai, aik trah to theek hai but quality daikh k banda kehta is say behtar na he kholtay. kiu zehmat ki hai.
Jo programs yeh parha rhay unki jobs he ni hain market mai. Ayee hayee. idher maa baap pata ni kaisay kar k bachay parhtay just so they their kids get depressed coz they cant find a good job. Beta galati ap ki ni hai. Galati ap k maa bap ki bhi ni hai. Yeh kanjar nizaam galat hai
I worked in oil n gas for years. Mjy btao drilling ho ni rhi, rigs ap k mulk mai band hai. bahria uni walay 400 bacha geosciences ka kiu nikal rhay? Btao mjy. 2 3 companies hain is mulk mai bs jo inhain hire karti wo bhi ni kar rhi ub. Yeh bharway still nikal rhay dhara dhar.
Nust ko daikh lo. H-12, EME, PNEC in teen k mila k koi 600+ mechanical engr nikaltay, naukri inka baap dai ga sb ko? Elec ka bhi yeh haal hai. Civil k bachay 25k pay mazdoori kr rhay hain wo bhi wo jo khushnaseeeb thay. bc 16 saal k bad 25k lanat ni hai.
IT walon ko lai lou. Fast aur Seecs mai jo hazaraat Dr PhD kar k parha rhay information security, un say poucho bahir kia chaiye. Data science mai MS kara rhay, Pak mai Data science ka boom hai? Laikin ni, paisa banana hai bhai paisa. MS karo, PhD karo, 32 saal k ho k wapis ajao
21 saal ki parhai k baad khush kismati say kahin job mil gae to 90k mou pay marr dain gaye. Yeh kahan ka insaaf hai? architects k schools ko daikh lo. sab well off bachay sirf Sada aur wo Lahore wali arts uni mai jatay. Gareeb k bachay ko pata he ni hai yeh koi cheez
dunya statisticians ko sar pay betha k rakhti humaray haan wo frequency tables aur histogram banana sekha rhay. Mean median mode ka pata bs. Engg mai 4 courses hotay adv maths k. Mout ajaye ge agar kisi ko pata ho distribution kia hoti aur curves ka asal use kia hai
but bachou ka grade point average kitna hai yeh sb maa baap ko chaiye. Sir ko kuch ni ata ho, sir k thoray chukku sir apko projects mai achay no. dai day ga. Uni grads say apna ap introduce ni hota, presentation ni di jati, zindagi ka depression kia tackle karna hai?
Acha aik aur sarri. Kisi bi university ki success ko 3 parts mai divide kartay hain ub is pay behas mat karna, job, research, aur startups.
Jobs conversion ap ka farigh, research logg majboori say kartay to wo bhi farigh, startups ki direction ni bachay zaleel hojatay
Ub mjy btao yeh kia kar rhay hain? Yeh qoum jis k logg world beaters ban sktay yeh bharway un ko kia parha rhay hain? I studied advanced ceramics, aik bar daikho bahir ja k pata lagaye kia bomb field thi, idher hum bs yehi tha sir formula sheet dai dain phir numerical kar lain gy
yeh kia hai bhai? Psychology walou ko daikh kitni mushkil say naukri milti, bc bahir her aik jaga pay psychology ka dept hota, idher sab maflooj hain unhain kuch ni parhna. millions of students kill their dreams to do what? to find a job? to work 9 10 hrs a day? and get paid shit
Us k baad yeh logg bara bara kar k lagatay Alumni nay yeh kar dia wo kar dia. O lull admi wo us bachay ki mehnat hai tum logg wo credit bhi khud lou gaye? Pura system aik kachra hai, intehai ghatiyaaaa tareeeeeen system. Daffodils say lai k Cal 2 tak sab baqwas hai. time zaya
ub tum soch rhay hogaye itni bak bak ki hai to parhain kia? Pehlai to languages seekho, its not that hard. Just learn as many as you can. yeh punjabi, ghar wali punjabi, southern punjab wali punjabi ni. Spanish, French, Italian, Arabic and Chinese. Yeh parho please.
phir jis cheez mai interest hai usay parho, yeh tatti education lai lo maa baap k liye aur rishtay k liye. But wo parho sab online mil jata warna mjy btao mai dhoondh doun ga yaar. Apnay dreams follow kar. Jis mai interest wo parho yeh chor do calculus ki jaan tum ni smj iski to
ub creativity pay dehan do. Na likh sktay ho na draw kar sktay ho. Band paray hain dimag inhain kholo. explore that horizon. Mjy agar part time naukri mil skti hai na production house mai, tum logg bht achay tumhain bhi mil jani but dhondho please.
Last thing, sports mai bhi jaan mara karo. Jitna failures say larna idher seekho gaye utna kahin ni seekh sktay. Its never too late. Netflix idher he hai shadi k bad aur kuch ni hona to yehi kuch saal hain in mai parho aur khailo kodo.
chalo aik life time advice wo alag baat tum logo nay man'ni hai.
Study not so you can get a job but so you can be a better human. Job skills pay milti hai, parhai aur skills different hain inhain different rehnay do. Degree zaror but skills seekho, aur khud ko acha insaan banao
You can follow @kurt_cocaine19.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: