"Phone utha ke baat Karo. WhatsApp msg pe kabhi sales close nahin hoga."
"Tum log 5min ke call ke liye 10 minute calendar kyun update karto hai. seedha phone kyun nahin karte."
"traffic toh theek hai, hamare dukaan pe bhi bahut log aate hai. Revenue kitna hai?"
"ghar se kaam karoge toh team ko tumahara energy kaise dikhega."
"Customer ko bolo meeting ke pehle kuch research karne ko. pehle woh travel karta tha toh time invest karta tha, ab time invest nahin karega toh haan bhi nahin bolega."
"Ghar se kaam karte samay bhi achchi shirt pehno, video mein achcha lagega."
"Sab ko bolo jyada der kaam karenge. Khaali baithenge toh jyada idhar udhar ko baat sochenge."
"humare time pe bhi haija faila tha, sab ne itni safai ki ab hum sabse clean city hai." basically "what doesn't kill you, makes you stronger"
"competitor kya karta hai usse bhool jao, kya pata woh bhi kissi aur ka dekh ke copy kar raha hai. product hai, khichdi nahin hai jo idhar udhar ka sab kuch daal do aur ban gaya. "
"yeh newspaper coverage tum apni khusi ke liye kar rahe ho ya user ki?"
"monthly kharche mein byaaz bhi jodo. baad mein easy lagege."
"customer ko phone karke toh pucho ki unko yeh samajh bhi aa raha hai ki nahin. sab tum aur tumahra designer hi janta hai kya?"
"kya swag swag karte ho. logo wala tshirt pehne se kuch nahin hota. kissi ko dikhana thodi hai.
revenue badhao, market mein charcha hogi toh apne aap swag aa jayega. "
"investor ka paisa hai, sambhaal ke kharch karo. woh koi ped se tod ke nahin de raha hai.
tumahre papa ki tarah nahin hai ki phone kiya hostel se ki paise kahtam ho gaye aur kal aur aa jayenge."
"Itna bada email kyun likh rahe ho, phone pe samjha do. Nahin samjhe toh call bhi recording kar lo. Jitne der mein email type karoge utne mein toh kaam bhi ho jata"
"kaam karne wala toh chaiye, aisa engineer hire karo jo decision bhi le sake.
Kaam toh main bhi kar raha hu lockdown mein ghar ka, decision toh tumahri mummy hi leti hai."
"apna vision investor ko becho. Investor ka vision investor ko hi bechoge toh usey Maja nahin aayega. Uska vision hi sahi Hota toh woh Bana leta. Usey bhi apne vision pe doubt Hai."
"feedback form toh Acha Hai, uske baad call bhi Karo. Woh kya bol raha Hai aur kya bolna chahta Hai, usme bahut farak Hoga.
40 Saal ho Gaye, Main tumahri mummy ki baat aaj tak nahin samajh Pata, tum customer ki baat star rating se kaise samajh Gaye?"
You can follow @NamanSr.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: