Urdu main koshish karta hoon yeh samjhane ki. #ShabEBarat ke saath ek cheez jo dekhi jaati hai, woh hai gharo main halway banana. Isska mazhab se koi talluq nahi hai, kuch cheezein culture aur traditions ke through aati hain. Jaise Ramadan main pakoray phorna mazhab main nahi
hai, fruit chaat, dahi baray, Rooh Afza mandna, yeh sab bhi deen main nahi hai, but culture aur saalo se ek riwayat banngayi hai tou ussko uss waqt se mansoob karlia gaya hai. Same way, aaj laakho gharo main halway baneinge. Shayad aapke parosi bhi aapko bhejein. .
Bhai uss pe usske faith ya belief(s) ko judge nahi karna, halwa hai. Apna ya kisi aur ka emaan sooji ke halway main talaash nahi karein, apne dil main karein. Aapko banaana hai, banaayein.
Nahi banaana, toh na banayein aur jo banaraha ho, ussko bhi zaleel ya insult na karein ke yeh ghalat hai, woh ghalat hai. Aap apne belief pe focus karein, ussko apni cheez main khush rehne dein. Iss cheez ko co-existence kehte hain. Jo humari society main bohat kum paayi jaati
hai issliye hum pachaas maslo main ghusse rehte hain. Apna deen na choro, doosre ka emaan na chayro. Khush raho, doosre ko bhi khush rakho. Woh halwa deta hai tou lelo, nahi khaana, kisi aur ko dedena but ussko bilawajay ki schooling nahi karo sahi ghalat ki. Khuda ka kaam hai
judge karna, unko hi karne dein. Aap log na karein, shukria. Islam musallat karne ka nahi, amal karne ka naam hai. Usske pass bhi Internet hai, YouTube hai, sab kuch hai. Ussko research karni hogi, karlega. Aapko zaroorat nahi hai deen ke chokidaar banne ki
You can follow @NotUmerr.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: