Kashaf Murtaza's dialogues. A thread.
"Kisi se mohabbat insaan ko bohot kamzor kar deti hai. bohot bebas, majboor, mahkoom. Aur mujhe in teenon cheezon se nafrat hai. Lekin uske bawajood tum meri zindagi ka markaz bante jaa rahe ho."
"Tum mujhse poochhte ho ki mujhe tumhari kya baat achhi lagti hai? Main tumse ye kaise kahoon ki mujhe tumhari kaunsi baat achhi nahin lagti?"
"Par mai yeh sab tumko kabhi nahin bataungi, tumhaare har vaade par hasungi, tumhaari har baat ka mazaaq udaaugi.Tum mujhe sang-e-marmar samajhte ho toh samajhte raho. Main tumhaare saamne rait ki deewar nahin ban sakti. Mujhe toot jaane se khauf aata hai."
Zindagi bohot si ajeeb baaton ka ek majmua hai. Ajeeb baatien, ittedaq, maujjaze. Ba'az dafa samajh nahin aati, agar isko ek jumle mein define karna pade, toh woh kya hoga? Zindagi gulzar hai, jaise zaroon usko Kehta hai?
You can follow @Meherr_.
Tip: mention @twtextapp on a Twitter thread with the keyword “unroll” to get a link to it.

Latest Threads Unrolled: